
Lyrics
Allah Ki Rehmat Ka Khazina Qareeb Se
Dekha Hai Mustafa Ka Madina Qareeb Se
Lete Hain Jis Zameen Pe Sarkar Do Jahan
Afzal Hai Arsh Se Bhi Woh Tukda Qareeb Se
Us Par Mere Aaqa Ki Shafa'at Hui Wajib
Dekha Hai Jisne Arsh Ka Zeena Qareeb Se
Seene Mein Hamesha Rahe Ulama Ki Mohabbat
Seekhein Adab Saleeqa Qareena Qareeb Se
Lab Par Durood-e-Pak Ka Sehra Sajaiye
Kijiye Buland Apna Naseeba Qareeb Se
Jannat Ki Jo Khwahish Hai To Aasaan Baat Hai
Apna Lo Tum Raza Ka Tareeqa Qareeb Se
Ab Aisa Mustafa Ka Na Hoga Kisi Ko Naseeb
Deedar Jo Karte The Sahaba Qareeb Se
De De Ke Qasmein Rab Jo Khilata Tha Ghaus Ko
Kitna Lazeiz Hoga Woh Luqma Qareeb Se
Burqe Ko Bhi Burqe Ki Zaroorat Hai Dosto
Dekho To Zara Aaj Ka Burqa Qareeb Se
Uski Nazar Mein Heech Hai Khushboo Gulaab Ki
Soongha Hai Jo Nabi Ka Paseena Qareeb Se
✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar Tu Bhi Hai Musalman Gar Ilm-e-Deen Haasil Kar Chahe Ho Iqaamat Jidhar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota Rahmat Bhara Aalam Ka Ye Manzar Nahin Hota Jis Dil Mein Ho Aaqa Ki Mohabbat Ka Basera
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
