Dil Mera Shaad Kar Jaldi Jaldi
Naat SharifUrdu🔥 Trending

Dil Mera Shaad Kar Jaldi Jaldi

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Dil Mera Shaad Kar Jaldi Jaldi

Ek Nazar Daal Kar Jaldi Jaldi

Saath Imaan Ke Ishq-e-Sarkar Mein

Zindagi Ho Basar Jaldi Jaldi

Gumbad-e-Sabz Ho Jab Mere Saamne

Rooh Parwaaz Kar Jaldi Jaldi

Hukm-e-Aaqa Hai Sehri Mein Taakheer Kar

Roza Iftaar Kar Jaldi Jaldi

Der Woh Jis Mein Ho Subah Hone Ka Shak

Der Itni Na Kar Jaldi Jaldi

Ho Ghuroob-e-Aaftaab Ka Ghaalib Gumaan

Bas Phir Iftaar Kar Jaldi Jaldi

Istita'at Khuda De To Hajj Ke Liye

Jaaye Haan Magar Jaldi Jaldi

Sun Ke Naam-e-Nabi Padh Durood Aap Par

Der Hargiz Na Kar Jaldi Jaldi

Ho Gaya Shaq Qamar Shams Ulta Phira

Hukm-e-Sarkar Par Jaldi Jaldi

Thaam Lo Daaman-o-Dast-e-Maula Ali

Chhod Kar Dar Badar Jaldi Jaldi

Jitne Aada-e-As'haab Hain Bil-Yaqi

Paayenge Sab Saqar Jaldi Jaldi

Bhaag Jaata Tha Shaitaan Khud Chhod Kar

Raah-e-Hazrat Umar Jaldi Jaldi

Ranj-o-Gham Door Honge Madad Ke Liye

Ghaus Ko Yaad Kar Jaldi Jaldi

Ye Hai Khwaja Ka Dar Sun Lo Ae Taajwar

Tek Do Apna Sar Jaldi Jaldi

Naz'a Ka Waqt Hai Apne Beemaar Par

Ho Karam Ki Nazar Jaldi Jaldi

Main Akela Raha Saath Waale Gaye

Qabr Mein Chhod Kar Jaldi Jaldi

Hoon Pareshaan Sawaal-e-Nakireen Se

Aao Khair-ul-Bashar Jaldi Jaldi

Qabr Mein Aa Rahe Hain Shah-e-Ambiya

Uth Ke Ta'zeem Kar Jaldi Jaldi

Ba-Adab Ishq Mein Padh Durood-o-Salaam

Unke Deedaar Par Jaldi Jaldi

Pul Se Jaati Hai Ab Ummat-e-Mustafa

Aao Jibreel Idhar Jaldi Jaldi

Naat Kehta Hai "Syed Aal-e-Mustafa"

Ba-Tufail-e-Gauhar Jaldi Jaldi

✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Ishq-e-Ahmad Ki Chaashni Lekar
Naat

Ishq-e-Ahmad ki chaashni lekar Jeena marna hai zindagi lekar Aisa jee lo Nabi ki ulfat mein

Dushman Se Kya Dabenge Hum Hain Ghulam Gauhar
Manqabat

Dushman se kya dabenge hum hain ghulam Gauhar Baatil ka radd karenge hum hain ghulam Gauhar Hazrat Zaheer Millat de kar gaye jo maslak

Allah Ki Rehmat Ka Khazina Qareeb Se
Naat

Allah Ki Rehmat Ka Khazina Qareeb Se Dekha Hai Mustafa Ka Madina Qareeb Se Lete Hain Jis Zameen Pe Sarkar Do Jahan

Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar
Other

Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar Tu Bhi Hai Musalman Gar Ilm-e-Deen Haasil Kar Chahe Ho Iqaamat Jidhar Ilm-e-Deen Haasil Kar