
Lyrics
Dushman se kya dabenge hum hain ghulam Gauhar
Baatil ka radd karenge hum hain ghulam Gauhar
Hazrat Zaheer Millat de kar gaye jo maslak
Us par atal rahenge hum hain ghulam Gauhar
Jo maslak-e-Raza hai maslak woh deen ka hai
Us par hi hum chalenge hum hain ghulam Gauhar
Murshid ne jo bataya murshid ne jo sikhaya
Us par amal karenge hum hain ghulam Gauhar
Hazrat Zaheer Millat hum be-jigar ki himmat
Kya khauf hum karenge hum hain ghulam Gauhar
Mahshar ki dhoop mein hum Ghaus-ul-Wara ke peeche
Jhandey tale rahenge hum hain ghulam Gauhar
Dozakh mein jayenge woh jo dushman-e-Raza hain
Jannat mein hum rahenge hum hain ghulam Gauhar
Jo dushman-e-Raza ho woh koi ho hum usko
Mardood hi kahenge hum hain ghulam Gauhar
Sunni hai ya Wahabi naam-e-Raza ko lekar
Hum usko jaanch lenge hum hain ghulam Gauhar
Naat-o-Durood padhte aur Salaam padhte padhte
Jannat mein ja chalenge hum hain ghulam Gauhar
✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Dil Mera Shaad Kar Jaldi Jaldi Ek Nazar Daal Kar Jaldi Jaldi Saath Imaan Ke Ishq-e-Sarkar Mein
Ishq-e-Ahmad ki chaashni lekar Jeena marna hai zindagi lekar Aisa jee lo Nabi ki ulfat mein
Allah Ki Rehmat Ka Khazina Qareeb Se Dekha Hai Mustafa Ka Madina Qareeb Se Lete Hain Jis Zameen Pe Sarkar Do Jahan
Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar Tu Bhi Hai Musalman Gar Ilm-e-Deen Haasil Kar Chahe Ho Iqaamat Jidhar Ilm-e-Deen Haasil Kar
