
Lyrics
Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar
Tu Bhi Hai Musalman Gar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Chahe Ho Iqaamat Jidhar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Chahe Ho Musalsal Safar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Bartari Ata Hogi Do Jahaan Mein Tujh Ko
Dekhna Hai Ae Kam-Tar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Aadhi Roti Khaane Ka Main Kabhi Nahin Kehta
Aakhi Roti Hi Kha Kar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Zindagi Guzarega Jaanwar Ki Maanind Kyun
Jabke Insaan Hai Tu, Par Ilm-e-Deen Haasil Kar
Gar Tu Sunni Muslim Hai Chhota Aur Bada Kya Hai
Ae Pisar Tu Aur Ae Pidar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Apna Hai Paraaya Hai Ye Kaise Jaan Paayega
Is Liye Zara Barh Kar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Paas Aayegi Tere, Chume Gi Qadam Tere
Kaamyaabi Khud Chal Kar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Ilm-e-Deen Ko Rab Ne Is Liye Banaaya Hai
Ho Sadaa Amal Is Par Ilm-e-Deen Haasil Kar
Toot Jaayegi Tere Nafs Ki Akad Saari
Pesh Aayega Jhuk Kar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Pehle Deen-o-Sunnat Ki Taleem Apni Haasil Kar
Baad Mein Tu Ban Doctor Ilm-e-Deen Haasil Kar
Farz Bhi Ada Hoga, Deen Ki Samajh Paayega
Ho Bhi Jaayega Mo'tabar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Baat Hai Bas Al-Mukhtasar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Ilm-e-Deen Haasil Kar, Ilm-e-Deen Haasil Kar
Denge Ilm Ki Daulat Bil-Yaqeen Tujhe "Sayyed"
"Aal-e-Mustafa" Gohar Ilm-e-Deen Haasil Kar
✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota Rahmat Bhara Aalam Ka Ye Manzar Nahin Hota Jis Dil Mein Ho Aaqa Ki Mohabbat Ka Basera
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
