
Lyrics
Ishq-e-Ahmad ki chaashni lekar
Jeena marna hai zindagi lekar
Aisa jee lo Nabi ki ulfat mein
Maut bhi aaye zindagi lekar
Baal yaqeen maut aayegi ek din
Unke deedaar ki khushi lekar
Maut ko yaad rakh sada ghafil
Jayegi tujh ko muttaqi lekar
Jannati hai woh mar gaya hai jo
Unki ulfat ki chaashni lekar
Rooh bhi uski muskurayegi
Jo mara unki dil-lagi lekar
Jayega qabr mein yaqeen hai
Saath imaan Gohari lekar
Jisko bhi aap se mohabbat hai
Woh marega hansi-khushi lekar
Unki sunnat pe gamzan ho ja
Unki shari'at ki rehbari lekar
Chhod kar itteba-e-Shah-e-Umam
Faayda kya hai bartari lekar
Ab tere waaste jahannam hai
Kyun mara unki dushmani lekar
Do jahan mein jiyun mohabbat se
Nisbat-e-Ghaus Qadri lekar
Har jagah shaan se hi rehte hain
Apna label Barelvi lekar
Kyun nikah-e-haraam karta hai
Tu Wahabi ki chhokri lekar
Usse nasl-e-haraam phailengi
Kya karega Wahabri lekar
Uski turbat pe bhi khade na raho
Jo mara bughz-e-la'nati lekar
Reh ke duniya mein chhod de duniya
Zindagi woh jiya khari lekar
Chhed shaitan ko sada Sunni
Naam unka ghadi ghadi lekar
Har ghadi fakhr se jiyo "Syed"
Apne imaan ki taazgi lekar
✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Dil Mera Shaad Kar Jaldi Jaldi Ek Nazar Daal Kar Jaldi Jaldi Saath Imaan Ke Ishq-e-Sarkar Mein
Dushman se kya dabenge hum hain ghulam Gauhar Baatil ka radd karenge hum hain ghulam Gauhar Hazrat Zaheer Millat de kar gaye jo maslak
Allah Ki Rehmat Ka Khazina Qareeb Se Dekha Hai Mustafa Ka Madina Qareeb Se Lete Hain Jis Zameen Pe Sarkar Do Jahan
Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar Tu Bhi Hai Musalman Gar Ilm-e-Deen Haasil Kar Chahe Ho Iqaamat Jidhar Ilm-e-Deen Haasil Kar
