Karam Kardo Mere Sarkar Ya Ghaus
ManqabatUrdu

Karam Kardo Mere Sarkar Ya Ghaus

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Karam kardo mere Sarkar Ya Ghaus

Dikha do phir mujhe Darbar Ya Ghaus

Jo tere dar ka hai mohtaj Maula

Zamane ka hai woh Mukhtar Ya Ghaus

Shifa paati hai duniya us ke dar se

Jo tera ho gaya bimaar Ya Ghaus

Ghulami jis ko hasil hai tumhari

Zamane ka hai woh Sardaar Ya Ghaus

Museebat mein hai ye banda tumhara

Madad ko aaiye Sarkar Ya Ghaus

Kaha jab Al-Madad Ya Ghaus-e-Azam

Madad ko aa gaye Sarkar Ya Ghaus

Madina haazri ki hai tamanna

Bula lein Syed Abrar Ya Ghaus

Mere Aaqa mujhe do apni qurbat

Hata kar aahni deewar Ya Ghaus

Bulawe ki hai bas deri tumhare

Mera samaan hai tayyar Ya Ghaus

Manate barhween har mah ki tum

Jo Milad-un-Nabi Sarkar Ya Ghaus

Manana aap ka kya rang laya

Ye Milad Shah-e-Abrar Ya Ghaus

Rasoolullah ne khush ho ke tum ko

Diya inaam hai Sarkar Ya Ghaus

Mili hai barhween ke hi tasaddaq

Tujhe ye gyarahween Sarkar Ya Ghaus

Gaye ek waqt mein sattar gharon mein

Kiya sattar jagah iftar Ya Ghaus

Samajh mein aa nahi sakta kisi ki

Muamma aap ka Sarkar Ya Ghaus

Agar tashreef tum laaye na hote

Na chalti nao bin patwaar Ya Ghaus

Khudaye Bartar-o-Bala ne tujh ko

Kiya wajib mere Sarkar Ya Ghaus

Tumhare deen par sabit qadam ho

Qayamat tak mera ghar-baar Ya Ghaus

Qayamat tak mera aur zurriyat ka

Rahe Tahir yun hi kuchaar Ya Ghaus

Muqaddam hai aur rakhunga muqaddam

Shariat ko hi main har baar Ya Ghaus

Kaha jab aap ne hi hai ke maango

Milega jo bhi ho darkaar Ya Ghaus

Mujhe bhi chahiye Ae Shah-e-Jilaan

Tum hi se tum mere Sarkar Ya Ghaus

Madad kar Fatima Zahra ke bete

Ae Ibn-e-Haider Karrar Ya Ghaus

Duhaai Ya Shah-e-Jilaan Duhaai

Hua Islam hai phir zaar Ya Ghaus

Muslimanan-e-Aalam par Khudara

Karo nazar-e-karam Sarkar Ya Ghaus

Bacha lo Khwaja-e-Ajmer ka dar

Sar-e-dast Hind ki Sarkar Ya Ghaus

Hama-tan mojiza Rab ki ata se

Hain jaise nabiyon ke Sardaar Ya Ghaus

Hai sar-ta-pa karamat tere Rab ne

Kiya tujh ko mere Sarkar Ya Ghaus

Tumhara naam le kar aur sun kar

Aur likh kar Sayyidi Sarkar Ya Ghaus

Raziyallahu anhu jo pukara

Hua Jannat ka woh haqdar Ya Ghaus

Hai be-shak aap se Allah raazi

Ho tum Allah se Sarkar Ya Ghaus

Rasool-e-Pak ke hain aap pyare

Aur un se aap ko hai pyaar Ya Ghaus

Sahaba se hai jis ke dil mein ulfat

Mila us ko tumhara pyaar Ya Ghaus

Sahaba se ki jis ne bhi adawat

Padi us par teri phatkaar Ya Ghaus

Sahaba najm aur tu naakhuda hai

Na ho phir kaise bajra paar Ya Ghaus

Abu Talib ke baare mein tumhara

Jo mauqif hai mere Sarkar Ya Ghaus

Hamara bhi wahi mauqif hai Aaqa

Jo mauqif hai tera Sarkar Ya Ghaus

Rasoolullah nabiyon mein hain rehbar

Yun hi waliyon mein tu Sardaar Ya Ghaus

Qadam kul Auliya ke dosh par hai

Tumhara Ae mere Sarkar Ya Ghaus

Ayaan tum se na kyun raaz-e-Khuda ho

Ke tum ho makhzan-e-asraar Ya Ghaus

Jabal par raaz tum apna jo daalo

To woh ho reit sa mismar Ya Ghaus

Main duniya se na aise jaaun Aaqa

Ke jaise jaate hain fujjaar Ya Ghaus

Naza mein gor aur Meezan-o-pul par

Bacha leeje mujhe Sarkar Ya Ghaus

Ghizab se Al-Amaan na bach sakega

Padegi jis ko teri maar Ya Ghaus

Woh kaise bach sake qahr-o-ghazab se

Ke jab Rab hai tera Qahhaar Ya Ghaus

Hai jis ko Ghaus-e-Azam se mohabbat

Wahi hai khuld ka haqdar Ya Ghaus

Teri tehqeer ka jis ne bhi socha

Hua woh khud zaleel-o-khaar Ya Ghaus

Rasoolullah ka bhi hai woh dushman

Jo dushman hai tera Sarkar Ya Ghaus

Tere dushman se jo millat rakhega

Woh hoga naar ka haqdar Ya Ghaus

Tera doobti naiya hamari

Karo bera hamara paar Ya Ghaus

Chhupa lo daaman-e-aqdas mein mujh ko

Satate hain bahut ghaddar Ya Ghaus

Jata do dushmanon aur hasidon se

Ho sab ki mere aage haar Ya Ghaus

Tumhare dam se hi aasaniyan hain

Hai warna zindagi dushwaar Ya Ghaus

Hain khushiyan aap hi ke dam-qadam se

Hai warna zindagi bezaar Ya Ghaus

Tera ho kar jiya to kaam ka hai

Hai warna zindagi bekaar Ya Ghaus

Meri Barzakh ki duniya pur-sukoon ho

Aur Roz-e-Hashr bhi Sarkar Ya Ghaus

Baroz-e-Hashr meri laaj rakhna

Gunaahon ka hai sar par baar Ya Ghaus

Bacha lo aap mohtaji se sab ki

Bana do mujh ko khud-mukhtar Ya Ghaus

Hamein to aasra hai bas tumhara

Nahi koi hamara yaar Ya Ghaus

Hamare jannati hone ka zaamin

Kafeel aur tu hai zimmedar Ya Ghaus

Nahi koi tumhare misl Aaqa

Khuda ke waliyon mein Sarkar Ya Ghaus

Hazaron lakhon ne paai hidayat

Suni jab aap ki guftaar Ya Ghaus

Har ek aada ki dhaalein chhat gayi hain

Uthi hai jab teri talwaar Ya Ghaus

Hai tujh se dar aur dar se sag ko nisbat

Aur sag se mujh ko hai Sarkar Ya Ghaus

Meri gardan mein bhi hai mere Aaqa

Tera dora mere Sarkar Ya Ghaus

Mureedi la takhaf muzhda suna kar

Kiya be-khauf be-azar Ya Ghaus

Nahi chhorenge hum daaman tumhara

Zabaan-o-dil se hai iqraar Ya Ghaus

Mera zaahir hai jitna khoobsurat

Mera baatin bhi ho Sarkar Ya Ghaus

Ae Aaqa ta-dam-e-aakhir tumhara

Bana lo mujh ko taabedaar Ya Ghaus

Balaein bhaag jaati hain wahan se

Jahan keh de koi ek baar Ya Ghaus

Pukare tum ko aur phir bhi na bhaage

Lagegi us ko teri aar Ya Ghaus

Hoon tere laadle bete ke dar par

Jo hain Rizq Allah Shah Sarkar Ya Ghaus

Jise tu ne Mohiuddin Saalis

Kiya aur bheja Kodeenar Ya Ghaus

Tufail-e-Hazrat Gauhar piya kar

Ye veerana gul-gulzar Ya Ghaus

Mere Murshid Zaheer Qadri se

Mila hai aap ka Darbar Ya Ghaus

Zaheer Qadri Murshid ke sadqe

Mita do har gham-o-azar Ya Ghaus

Tufail-e-Fatima Afzal Zubaida

Mujhe ho aap ka deedaar Ya Ghaus

Karam se aap ke Alhamdulillah

Main haazir aaya tere duwaar Ya Ghaus

Faqeer Qadri haazir hai dar par

Ata kar dijiye Daatar Ya Ghaus

Bakhair-o-aafiyat tere karam se

Main pahuncha ghar mere Sarkar Ya Ghaus

Bulana phir dar-e-aqdas pe mujh ko

Dikhana phir mujhe Darbar Ya Ghaus

Karam ho "Saiyed Aal-e-Mustafa" par

Mere Maula mere Sarkar Ya Ghaus

Karam "Aal-e-Muhammad" par bhi kije

Hamesha har ghari har baar Ya Ghaus

Karam ho "Aal-e-Ahmad" par bhi Aaqa

Hamesha har ghari har baar Ya Ghaus

✒️ Awulade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah