
Lyrics
Mehki Mehki Quadiriyat Ki Eyaa'n Sehre Me Hai,
Bhini Bhini Mast Bue Boustaa'n Sehre Me Hai.
Na'at Goi Ke Hunar Me Kaardaa'n Sehre Me Hai,
Ya'ani Khud Atiq Saheb Na'at Khwaa'n Sehre Me Hai.
Ba Adab Aur Ba Nasibo Ba Tamizo Ba Haya,
Yu'n Gine'n To Bahot Saari Khubiyaa'n Sehre Me Hai.
Rafta Rafta Kis Qadar Is Aqd Ki Taqrib Me,
Nuri Masjid Me Jama Ek Kaarwaa'n Sehre Me Hai.
Khush Nasibi Hai Ke Allaama Ziyaul Mustafa,
Sadare Mahfil Ban Ke Shaamil Khud Yahaa'n Sehre Me Hai.
Is Khushi Ke Khaas Mauqe Par Dili Da'awat Ke Saath,
"Saiyed Aale Mustafa" Haazir Yahaa'n Sehre Me Hai.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shahzaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
