
Lyrics
Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Rahmat Bhara Aalam Ka Ye Manzar Nahin Hota
Jis Dil Mein Ho Aaqa Ki Mohabbat Ka Basera
Wallah Woh Hargiz Kabhi Khandhar Nahin Hota
Ishq-e-Rasool Pinhan Agar Qalb Mein Hota
Hota Gulaab Jaisa, Ke Kikar Nahin Hota
Dushman Hai Woh Apna Bhi Saga Bhai Ho To Kya
Dushman Nabi Ka Apna Baradar Nahin Hota
Qurb-e-Raza Na Chhode Jo Sunni Ho Tanatan
Rehta Hai Unse Door Jo Kattar Nahin Hota
Radd-e-Wahabiyat Ka Jo Munkir Hai To Sun Le
Kalma Badal De, Zeeba Ye Tujh Par Nahin Hota
Woh Kaam Tune Karke Dikhaya Bade Miyan
Jo Deobandiyon Se Bhi Khul Kar Nahin Hota
Aiwaan Ye Masjid Mein Laga Di Hai Screen
Sun Lijiye, Masjid Kabhi Theater Nahin Hota
Ban Baithe Hain Ameer Jo Hain Jahil-e-Mutlaq
Jahil Kabhi Bhi Deen Ka Rahbar Nahin Hota
Hain Lakhon Hazaaron Jo Dikhate Hain Rasta
Har Raah Dikhane Wala To Rahbar Nahin Hota
Karta Na Sunniyon Ke Aqeede Ki Hajaamat
Sufi Ki Shakal Mein Jo Tu Babbar Nahin Hota
Zikr-e-Rasool Raqs-Kunaan Be-Adabi Hai
Aamil Ho Sunnaton Ka, Woh Dancer Nahin Hota
Ae Kaash Bazahir Abhi Ahmad Raza Hote
Jeena Hamara Is Tarah Dubhar Nahin Hota
Naapa Zaheeri Qadri Ne Sab Ko Phir Kaha
Akhtar Raza Ke Koi Barabar Nahin Hota
Ghere Hain Chaaron Simt Se Be-Daal Ke Bodam
Kya Hota Chaman Ka Agar Akhtar Nahin Hota
Khaane Ko Bhi Taraste Aur Peene Ko Taraste
Jaari Jo Har Soo Aaqa Ka Langar Nahin Hota
Darbar-e-Mustafa Hai "Sayyid Aal-e-Mustafa"
Alhamdulillah, Warna Koi Dar Nahin Hota
✍️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Farz Hai Musalman Par Ilm-e-Deen Haasil Kar Tu Bhi Hai Musalman Gar Ilm-e-Deen Haasil Kar Chahe Ho Iqaamat Jidhar Ilm-e-Deen Haasil Kar
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
