Baagh-e-Zahra Ki Kali Afzal Zubaida Fatima
ManqabatUrdu

Baagh-e-Zahra Ki Kali Afzal Zubaida Fatima

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

BAAGHE ZAHRA KI KALI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA,

YA'ANI AWULAADE NABI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA.

DUKHTARE MAULA ALI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA,

GAUS KI HAI LAADLI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA.

NURE SAIYED SHAAH RIZQULLAAH KI NURI KIRAN,

MERE DIL KI RAUSHNI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA.

CHHE RAJAB CHAUDAH SAU CHAVAALIS DIN ITWAAR HAI,

CHHOR KAR DUNIYA CHALI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA.

GIYARAH AUR UNTIS TAK HAI AAP KA WAQTE WISAAL,

WAAH MUBARAK HAI GHADI AFZAL ZUBAIDA FATIMA.

KHWAAJA E AJMEYR KA JAARI THA KHATME QUL SHARIF,

SUNTE SUNTE JAA CHALI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA.

AATHH SAU AUR GIYAARAHWAA'N KHWAAJA KA URSE PAAK HAI,

AAJ REHLAT KAR GAYI AFZAL ZUBAIDAH FATIMA.

PAARSA AISI KE JIS PAR PARSAYI DANG HAI

SWAALEHA AUR MUTTAQI AFZAL ZUBAIDA FATIMA

"SAIYED AALE MUSTAFA" KI WAALIDA MAA'N SAAHEBA

WALIYA E BINTE WALI AFZAL ZUBAIDA FATIMA.

✒️ AWulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake Aala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah