Sunniyo Ke Peshwa Hazrat Zaheer-e-Qadri
ManqabatUrdu

Sunniyo Ke Peshwa Hazrat Zaheer-e-Qadri

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Sunniyo'n Ke Peshwa Hazrat Zahire Quadiri,

Muttaqiyo Paarsa Hazrat Zahire Quadiri.

Chaudah Sau Baais Hijri Aur Muharram Saatwi'n,

Pir Ke Din Ho Gaye Rukhsat Zahire Quadiri.

Shaah Gauhar Ke Mazaare Paak Ke Andar Hui,

Mere Murshid Aap Ki Turbat Zahire Quadiri.

Turbate Sarkaare Gauhar Jaanibe Maghrib Hai Aur,

Samte Mashriq Hai Teri Turbat Zahire Quadiri.

Zindagi Bhar Haq Kaha Aur Haq Me Di Jaane Wafa,

Haq Ki Nusrat Haq Ki Hai Azmat Zahire Quadiri.

Dushmane Ahmed Raza Ke Waaste Qahre Khuda,

A'ada e Di'n Ke Liye Haibat Zahire Quadiri.

Dushmane Ahmed Raza Se Dosti Rakhna Nahi'n,

Dars Yeh Dete Rahe Hazrat Zahire Quadiri.

Nafso Shaitaa'n Se Bachu'n Aur Ishqe Aaqua Me Maru'n,

Puri Kar Dije Meri Hasrat Zahire Quadiri.

Jo Baraily Ho Ke Aata Tha Koi In Ke Huzur,

Karte The Us Shakhs Ki Izzat Zahire Quadiri.

Jo Raza Ke Khaanwaado'n Ki Buraai Me Gira,

Karte The Us Shakhs Se Nafrat Zahire Quadiri.

A'ala Hazrat Ki Muhabbat Ka Meri Ghutti Me Hi,

Hai Pilaaya Aap Ne Sharbat Zahire Quadiri.

Eisawi Taarikh Se To Monday Do April Hai,

Do Hazaar Ek Me Teri Rehlat Zahire Quadiri.

Nisbate Ghauso Raza Se Hai Tera Waqte Wisaal,

Giyaarah Aur Pachis Ki Saa'at Zahire Quadiri.

Dushmane Ahmed Raza Ka Khauf Mei'n Kyu'n Kar Rakhu'n,

Aap Se Jab Hai Judi Nisbat Zahire Quadiri.

Hum Gharibo'n Be Sahaaro'n Ke Liye The Aasra,

Hum Faqiro'n Ke Liye Daulat Zahire Quadiri.

Quadiriyat Naaz Karti Hai Tere Haalaat Par,

Ittiqua Waali Teri Haalat Zahire Quadiri.

Tere Chehre Se Tapakta Tha Jalaale Ghause Paak,

Sab Pe Chhaayi Thi Teri Haibat Zahire Quadiri.

Aap Ke Chehre Se Zaahir Tha Jamaale Mustafa,

Sunniyo'n Par Thi Teri Shafqat Zahire Quadiri.

Ishqe Sarkaare Do Aalam Me Bitaayi Zindagi,

Aamile Qur'aan Aur Sunnat Zahire Quadiri.

Dushmane Ahmed Raza Phir Se Uthaae Hai'n Qadam,

Aaiye Aur Kijiye Ghaarat Zahire Quadiri.

Dushmanaane Mustafa Ke Daa'nt Khatte Kar Diye,

Waah Aisi Aap Ki Satwat Zahire Quadiri.

Maslake Ahmed Raza Par Gaam Zan Hojaaiye,

Har Ghadi Dete Rahe Da'awat Zahire Quadiri.

Aap Ke Daaman Se Jo Waabastagi Haasil Kiye,

Ho Gaye Sab Waasile Jannat Zahire Quadiri.

"Saiyed Aale Mustafa" Ko Mil Gaye Ghausul Wara,

Aap Se Jab Ho Gaya Bai'at Zahire Quadiri.

✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah