Bade Khush-Bakht The Jo Aap Ki Mehfil Mein Aate The
Manqabat Urdu

Bade Khush-Bakht The Jo Aap Ki Mehfil Mein Aate The

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Bade Khush-Bakht The Jo Aap Ki Mehfil Mein Aate The,

Aqeedat Se Jo Bazm-e-Mustafa Mil Kar Sajate The.

Sahaba Kaif Paate The, Nabi Khud Jhoom Jaate The,

Nabi Ke Ro-Ba-Ro Hassan Jab Naatein Sunate The.

Nabi Ki Naat Ke Sadqe Mili Hassan Ko Izzat,

Mohabbat Se Unhein Sarkar Minbar Par Bithate The.

Muqaddar Ka Na Poocho Hazrat-e-Hassan Ki Khaatir,

Rasool-Allah Apne Haath Se Minbar Sajate The.

Nawazish Ka, Inayat Ka, Karam Ka Poochna Kya Hai,

Nabi Hassan Ko Khud Daad Dete The, Dilate The.

Mubarak Un Nufoos-e-Quds Ki Qismat, Ka Kya Kehna,

Mohabbat Se Jinhein Sarkar Seene Se Lagate The.

Asa-e-Ghaus-e-Azam Ne Zameen Ko Thaam Rakha Tha,

Zameen Ko Wajd Aata Tha, Hasan Jab Jhoom Jaate The.

Hasan Ke Jhoom Jaane Se Zameen Par Zalzala Aata,

Zameen Ko Ghaus-e-Azam Apne Dande Se Dabate The.

Mere Khwaja Moinuddin Ka Woh Aastana Hai,

Jahan Par Badshah-e-Waqt Bhi Sar Ko Jhukate The.

Madina Se Palat Kar Dekhiye, Jab Hind Mein Aate,

Bareilly Baad Mein, Pehle Raza Ajmer Jaate The.

Yehi Mahsoos Hota Hai Raza Qasid Ki Soorat Mein,

Nabi Ka Hukm Laa Laa Kar Ke Khwaja Ko Sunate The.

Zaheer-e-Qadri Ka Hum Ne Ye Maamool Dekha Hai,

Nabi Ke Dushmano Ko Apni Chokhat Se Bhagate The.

Agar Dushman Nabi Ka Bhool Se Darbar Mein Aata,

Ali-Wala Zaheer-e-Qadri Neza Uthate The.

Nabi Ke Dushmano Se Dosti Hargiz Nahi Rakhna,

Zaheer-e-Qadri Har Dam Yehi Hum Ko Batate The.

Raza Ke Dushmano Pe Har Ghadi Qahr-o-Ghazab Dhate,

Raza Ke Chahne Walon Ko Bazu Mein Bithate The.

Nahi Tha Gunbad-e-Khizra Zameen Ka Taaj-e-Sar Jab Tak,

Zameen Ko Har Ghadi Shams-o-Qamar Aankhein Dikhate The.

Shuja-at Ke Libade Mein Ali Maidan Mein Aa Kar,

Adoo-e-Mustafa Ko Pal Mein Matti Mein Milate The.

Ata Barkat Mujhe Hassan-e-Saani Ke Qalam Ki Ho,

Bareilly Se Jo Ishq-e-Mustafa Mein Gungunate The.

Ilahi! "Saiyed Aal-e-Mustafa" Ko Woh Zaban De De,

Jo Kodinar Se Gauhar Piya Naghme Sunate The.

✒️ Aulad E Huzur Gaus E Aazam Sahzada E Huzur Zahire Millat Alambardare Maslake Aala Hazrat Peere Tariqat Hazrat Allama Maulana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DADA BAPU QADRI BARKATI

(Jafrabad, Sharif, Gujrat)

بڑے خوش بخت تھے جو آپ کی محفل میں آتے تھے

عقیدت سے جو بزمِ مصطفےٰ مل کر سجاتے تھے

صحابہ کیف پاتے تھے، نبی خود جھوم جاتے تھے

نبی کے روبرو حسّان جب نعتیں سناتے تھے

نبی کی نعت کے صدقے ملی حسّان کو عزت

محبت سے انہیں سرکار منبر پر بٹھاتے تھے

مقدر کا نہ پوچھو حضرتِ حسّان کی خاطر

رسول اللہ اپنے ہاتھ سے منبر سجاتے تھے

نوازش کا، عنایت کا، کرم کا پوچھنا کیا ہے

نبی حسّان کو خود داد دیتے تھے، دلاتے تھے

مبارک ان نفوسِ قدس کی قسمت، کا کیا کہنا

محبت سے جنہیں سرکار سینے سے لگاتے تھے

عصائے غوثِ اعظم نے زمیں کو تھام رکھا تھا

زمیں کو وجد آتا تھا، حسن جب جھوم جاتے تھے

حسن کے جھوم جانے سے زمیں پر زلزلہ آتا

زمیں کو غوثِ اعظم اپنے ڈنڈے سے دباتے تھے

میرے خواجہ معین الدین کا وہ آستانہ ہے

جہاں پر بادشاہِ وقت بھی سر کو جھکاتے تھے

مدینہ سے پلٹ کر دیکھیے، جب ہند میں آتے

بریلی بعد میں، پہلے رضا اجمیر جاتے تھے

یہی محسوس ہوتا ہے رضا قاصد کی صورت میں

نبی کا حکم لا لا کر کے خواجہ کو سناتے تھے

ظہیرِ قادری کا ہم نے یہ معمول دیکھا ہے

نبی کے دشمنوں کو اپنی چوکھٹ سے بھگاتے تھے

اگر دشمن نبی کا بھول سے دربار میں آتا

علی والا ظہیرِ قادری نیزہ اٹھاتے تھے

نبی کے دشمنوں سے دوستی ہرگز نہیں رکھنا

ظہیرِ قادری ہر دم یہی ہم کو بتاتے تھے

رضا کے دشمنوں پہ ہر گھڑی قہر و غضب ڈھاتے

رضا کے چاہنے والوں کو بازو میں بٹھاتے تھے

نہیں تھا گنبدِ خضریٰ زمیں کا تاجِ سر جب تک

زمیں کو ہر گھڑی شمس و قمر آنکھیں دکھاتے تھے

شجاعت کے لبادے میں علی میدان میں آ کر

عدوئے مصطفےٰ کو پل میں مٹی میں ملاتے تھے

عطا برکت مجھے حسّانِ ثانی کے قلم کی ہو

بریلی سے جو عشقِ مصطفےٰ میں گنگناتے تھے

الٰہی! "سیدِ آلِ مصطفےٰ" کو وہ زباں دے دے

جو کوڈینار سے گوہر پیا نغمے سناتے تھے

✒️ اولاد حضور غوث اعظم شہزادہ حضور ظہیر ملت علمدار مسلک اعلیٰ حضرت پیر طریقت حضرت علامہ مولانا

سید محمد آل مصطفیٰ دادا باپو قادری برکاتی

(جعفرآباد، شریف، گجرات)

More Naats