
Lyrics
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah
Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
Dekh Kar Har Koi Hairaan Hai Rizqullaah Shaah
Aap Ko Jab Bhi Pukaara Hai Al Madad Aaqua
Hogai'n Mushkile'n Aasaan Hai Rizqullaah Shaah
Aa'nch Mujh Par Na Kabhi Aayi Hai Na Aayegi
Aap Jab Mere Nigehbaan Hai Rizqullaah Shaah
Raham Farmaiye Har Ahle Sunan Par Maula
Daher Me Jo Bhi Pareshaan Hai Rizqullaah Shaah
Dine Islaam Se Barbaadi Ke Khwahaa'n Girgit
Dur Ho Jitne Bhi Marwaan Hai Rizqullaah Shaah
Gause A'azam Ne Tere Sar Pe Taaj Hai Rakha
Saiyedul Hind Tu Sultaan Hai Rizqullaah Shaah
Teri Chaukhat Ne Hazaaro'n Ko Wali Kar Daala
Tu Wilaayat Ki Badi Kaan Hai Rizqullaah Shaah
Chaaro'n Maslak Me Shaha Jin Ke Muqllid Hai'n Aap
Woh Imaam Hazrate Nu'maan Hai Rizqullaah Shaah
Bad Aqaaid Se Na Samjhota Kabhi Hona Hai
Sirf Sunni Se Samaadhaan Hai Rizqullaah Shaah
Gause A'azam Ki Nau Wi'n Pusht Pe Pote Hai'n Aap
Aap Ka A'azam Khaandaan Hai Rizqullaah Shaah
Urs E Aqdas Hai Tera Paan'ch Rabi Ul Aakhir
Panj Tan Paak Ka Ek Saan Hai Rizqullaah Shaah
Gause A'azam Ke Daste Paak Ka Saaya Kahiye
Ham Gulaamo'n Pe Saaebaan Hai Rizqullaah Shaah
Dono A'alam Me Rahu'n Ban Ke Tumhara Khaadim
Mere Dil Ka Yehi Armaan Hai Rizqullaah Shaah
Jafarabad Se Me Saani E Bagdaad Aakar
Ho Gaya Aapka Mehmaan Hai Rizqullaah Shaah
Chale Bagdaad Mulke Shaam Ke Haama Se Tum
Raah Paidal Hai Aan Baan Hai Rizqullaah Shaah
Pahun'che Bagdaad To Farmaya Gause A'azam Ne
Aaiye Aapka San Maan Hai Rizqullaah Shaah
Shaah Gauher Ne "Saiyed Aale Mustafa" Mujh Ko
Kar Diya Aap Ka Darbaan Hai Rizqullaah Shaah
✒️ Awulade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Karam kardo mere Sarkar Ya Ghaus Dikha do phir mujhe Darbar Ya Ghaus Jo tere dar ka hai mohtaj Maula
Rooh aaqa pe jo qurbaan hui jaati hai Haan yaqeenan wo musalman hui jaati hai Rooh ki zindagi aaqa ki mohabbat mein hai
Ahle Sunnat Ke Imaamo Peshwa Ahmed Raza, Najdiyo'n Ke Waaste Qahre Khuda Ahmed Raza. Hijri Baarah Sau Behattar, Daswi'n Thi Shawwaal Ki,
