
Lyrics
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai,
Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai.
Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Fatema Ka Gohar Kodinar Me Hai.
Sheyre Haq Woh Jo Maula Ali Murtaza,
Un Ka Lakhte Jigar Kodinar Me Hai.
Saiyedaina Imaame Husaino Hasan,
Un Ka Nure Nazar Kodinar Me Hai.
Gause A'azam Hai'n Bagdaad Me Jalwa Gar,
Aur Un Ka Pisar Kodinar Me Hai.
Jis Ka Shajra Najibuttarafain Hai,
Haa'n Woh Waala Gohar Kodinar Me Hai.
Saiyedul Hind Gause Zamaana Hai'n Jo,
Un Ka Nuraani Dar Kodinar Me Hai.
Hind Ki Sarzami'n Par Mere Dosto'n,
Gause Paak Ka Dar Kodinar Me Hai.
Un Ke Darbaar Me Jo Bhi Haazir Hua,
Woh Gaya Hai Nikhar Kodinar Me Hai.
Haazri Aastaane Pe Deyna Zarur,
Ho Wahaa'n Se Guzar Kodinar Me Hai.
Gause A'azam Ka Sadqua Dare Shaah Par,
Batta Aathho'n Pahar Kodinar Me Hai.
Langare Gause A'azam Bhi Darbaar Me,
Jaari Shaamo Sahar Kodinar Me Hai.
Saiyedul Awliya Zubdatul Atqiya,
Maaliko Sarwar Kodinar Me Hai.
Ban Ke Saail Jo Darbaar Me Aagaya,
Hogaya Taajwar Kodinar Me Hai.
Saare Aalam Me Woh Surkh Ru Hogaya,
Jhuk Gaya Jo Idhar Kodinar Me Hai.
Jis Ke Mas Se Bane Jo Zare Khaalis,
Woh Zare Ahmar Kodinar Me Hai.
Dusre Dar Pe Ham Haath Failaae'n Kyu'n,
Aap Jab Jalwa Gar Kodinar Me Hai.
Ne'amate'n Do Jahaa'n Ki Mili Hai Use,
Aaya Jo Tere Dar Kodinar Me Hai.
Jis Ki Khidmat Ka Badla Wilaayat Mile,
Dosto'n Aesa Dar Kodinar Me Hai.
Fild Marshall Commander in Chief Hai Kya,
Kya Sare Askar Kodinar Me Hai.
Jis Ke Dar Ki Gulaami Hai Haasil Mujhe,
Mere Aaqua Ka Dar Kodinar Me Hai.
Jo Musharraf Ba Islaam Ham Ko Kiya,
Woh Musalmaan Gar Kodinar Me Hai.
Raahe Haq Par Chalaaya Hai Jis Ne Hame'n,
Haa'n Wahi Raahbar Kodinar Me Hai.
Zarrah War Ko Kiya Jis Ne Zarrah Nawaaz,
Haa'n Wahi Parwar Kodinar Me Hai.
Awliyaa Ko Tha Jis Par Bada Ae'tebaar,
Haa'n Wahi Mu'atabar Kodinar Me Hai.
Us Ke Sar Ko Jahaa'n Me Balandi Mili,
Jhuk Gaya Jis Ka Sar Kodinar Me Hai.
Jis Ko Bagdaad Ki Haazri Chaahiye,
Us Ko Aana Idhar Kodinar Me Hai.
Un Ke Faizaan Ki Had Nahi'n Hind Tak,
Balke Hai Kul Dahar Kodinar Me Hai.
Jafarabad Me Shaah Gauhar Piya,
Un Ke Daada Udhar Kodinar Me Hai.
"Saiyed" Aale Muhammad Aur Ahmad Pe Bhi,
Ho Karam Ki Nazar Kodinar Me Hai.
✒️ Awulade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
Karam kardo mere Sarkar Ya Ghaus Dikha do phir mujhe Darbar Ya Ghaus Jo tere dar ka hai mohtaj Maula
Rooh aaqa pe jo qurbaan hui jaati hai Haan yaqeenan wo musalman hui jaati hai Rooh ki zindagi aaqa ki mohabbat mein hai
Ahle Sunnat Ke Imaamo Peshwa Ahmed Raza, Najdiyo'n Ke Waaste Qahre Khuda Ahmed Raza. Hijri Baarah Sau Behattar, Daswi'n Thi Shawwaal Ki,
