
Lyrics
Gulshane Zahra Ki Nikhat Saiyeda Zahra Batul,
Ghause A'azam Ki Hai Itrat Saiyeda Zahra Batul.
Hijri Tera Sau Chhehattar Maah Rabiun Nur Tha,
Chal Diye Jab Sue Jannat Saiyeda Zahra Batul.
Rahmate Aalam Ke Sadqe Hum Ghulaamo'n Ke Liye,
Aap Hai'n Rahmat Hi Rahmat Saiyeda Zahra Batul.
Shaah Rizqullaah Ka Sadqua Ata Kar Dijiye,
Ho Hamesha Khairo Barkat Saiyeda Zahra Batul.
Kya Niraali Shaan Hai Jinnaat Hai'n Khaadim Tere,
Hum Se Bhi Kuchh Le Lo Khidmat Saiyeda Zahra Batul.
"Saiyed Aale Mustafa" Par Shaah Gauhar Ke Tufail,
Kijiye Nazre Inaayat Saiyeda Zahra Batul.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
