
Lyrics
Ishqe Ahmed Mere Sine Me Basaae Rakhna,
Ishqe Duniya Se Mere Dil Ko Bachaae Rakhna.
Ishqe Sarkaare Madina Ki Jhalak Se Har Dam,
Mere Maula Mere Sine Ko Sajaae Rakhna.
Ghause A'azam Ki Muhabbat Mere Dil Me Ho Ata,
Dono'n Aalam Me Mujhe Un Ka Banaae Rakhna.
Ghame Duniya Ke You'n Rone Se Bacha Kar Mujh Ko,
Ghause A'azam Ki Muhabbat Me Rulaae Rakhna.
Shaah Gauhar Ke Wasile Se Aakhri Dam Tak,
Hubbe Duniya Se Meri Jaan Chhudaae Rakhna.
Waasta Shaahe Do Aalam Ka Ke Sattaar Hai Tu,
Aib Mahshar Me Mujh Aasi Ke Chhupaae Rakhna.
Mere Maula Ne Mujhe Sabr Ki Taaqat Di Hai,
Are Dushman Tu Mujhe Roz Sataae Rakhna.
Kabhi Barbaad Na Kar Paayega Zaalim Mujh Ko,
Yeh Waham Zehn Me Kam Tar Tera Haae Rakhna.
Baar Baar Un Ke Tasadduq Mere Maula Mujh Ko,
Harame Ka'aba Wa Taiba Me Bulaae Rakhna.
Khush Nasibi Hai Teri "Aale Mustafa" Hai Tu,
Apni Nisbat Ko Hamesha Hi Banaae Rakhna.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
