
Lyrics
Hai Kodinaar Me Sarkaar Gause Paak Rizqullaah,
Waliyo'n Ka Hai Jo Sardaar Gause Paak Rizqullaah.
Kaha Hai Saani e Bagdaad Ahlullaah Ne Jis Ko,
Wahi Tera Hai Kodinar Gause Paak Rizqullaah.
Tere Daada Huzure Gause A'azam Ki Inaayet Hai,
Mila Jo Hai Tera Darbaar Gause Paak Rizqullaah.
Mujhe Bhi Aey Ali Ke La'al Aey Hasnain Ke Pyaare,
Hai Sadqua Gaus Ka Darkaar Gause Paak Rizqullaah.
Hai'n Failaae Hue Daaman Tumhaare Aastaane Par,
Ata Farmaaiye Sarkaar Gause Paak Rizqullaah.
Tere Dam Ne Kai Be Dam Dilo'n Ke Dam Me Dam Bakhsha,
Bana Mera Bhi Do Damdaar Gause Paak Rizqullaah.
Kiye Jaane Lage Hai'n A'ada e Islaam Aae Din,
Tumhaare Din Par Yalgaar Gause Paak Rizqullaah.
Muhiyyuddin Saalis Phir Karam Farmaaiye Aaqua,
Bane Islaam Phir Gulzaar Gause Paak Rizqullaah.
Karam Be Saakhta Farmaae'n Ham Par Quadiri Dulha,
Hamaare Dekhe'n Na Atwaar Gause Paak Rizqullaah.
Jahaa'n Me Rota Aata Hai Magar Rota Nahi'n Jaata,
Juda Hai Jis Ka Tum Se Taar Gause Paak Rizqullaah.
Karam Ho Saiyed Aale Ahmado Aale Muhammad Par,
Hamesha Nit Sada Sarkaar Gause Paak Rizqullaah.
Karam Ho "Saiyed Aale Mustafa" Par Haamvi Dulha,
Tufaile Gaus Aey Sarkaar Gause Paak Rizqullaah.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Sahzaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah,Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
Karam kardo mere Sarkar Ya Ghaus Dikha do phir mujhe Darbar Ya Ghaus Jo tere dar ka hai mohtaj Maula
