
Lyrics
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina,
Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Pahuncha Yaa Rab Tere Haram Me,
Aajaae Dam Phir Mere Dam Me,
Ka'abah Dekhu'n Phir Dekhu'n Madina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Chhaau'n Jahaa'n Hai Maheki Maheki,
Dhup Jahaa'n Hai Thhandi Thhandi.
Mausam Bhi Jahaa'n Hai Bhina Bhina.
Ilaahi Pahuncha De Madina.
Jina Yahaa'n Hai Marne Se Bad Tar,
Marna Wahaa'n Hai Jine Se Behtar,
Aesa Hai Woh Piyaara Madina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Maqsad Hal Ho Meri Zindagi Ka,
Haq Bhi Ada Ho Teri Bandagi Ka,
Thhik Rahe Phir Duniya Me Jina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Maheka De Qismat Ka Bagicha,
Mahek Uthhe Jis Ka Har Daricha,
Karde Ataa Mustafa Ka Pasina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Soe Hai'n Aaqua Jis Zami'n Par,
Arshe Mualla Se Woh Hai Badh Kar,
Jannat Ka Bhi Jo Hai Nagina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Nure Nabi Se Nur Ataa Kar,
Dil Se Andhera Dur Sada Kar,
Raushan Hojaae Mera Sina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Aan Fa'nsa Hu'n Bich Bhawar Me,
Ghera Hai Tufaan Safar Me
Paar Lagaade Mera Safina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Us Ka Muqaddar Jaag Hi Jaae,
Tera Karam Jis Par Hojaae,
Chaahe Woh Kaisa Ho Kamina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Mujh Ko Hasad Se Har Dam Bachaana,
Mera Rawaiya Ho Mukhlisaana,
Dur Rahe Mere Sine Se Kina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Naza Me Gor Me Mizano Pul Par,
Itna Karam Aey Malike Kul Kar,
Saath Rahe Imaa'n Ka Khazina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Peshe Nazar Khatamul Ambiyaa Ho'n,
Saath Me Aur Chaaro'n Khulfaa Ho'n
Muyassar Ho Jab Aabe Kausar Ka Pina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ne Ki Mujh Par Badi Mehrbaani,
Aale Muhammad Rizqullaah Saani,
Kar Ke Ataa Awulade Narina,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Hai Ye Bharosa Mujh Ko Khuda Par,
Hoga Karam "Aale Mustafa" Par,
Jaata Rahega "Saiyed" Madina.
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaada E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
Karam kardo mere Sarkar Ya Ghaus Dikha do phir mujhe Darbar Ya Ghaus Jo tere dar ka hai mohtaj Maula
Rooh aaqa pe jo qurbaan hui jaati hai Haan yaqeenan wo musalman hui jaati hai Rooh ki zindagi aaqa ki mohabbat mein hai
