Karam Ka Dast-e-Aqdas Jab Uthaya Shah-e-Gauhar Ne
ManqabatUrdu

Karam Ka Dast-e-Aqdas Jab Uthaya Shah-e-Gauhar Ne

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Karam Ka Daste Aqdas Jab Uthaaya Shaah Gauhar Ne,

Khazaana Ghause A'azam Ka Lutaaya Shaah Gauhar Ne.

Pukaara Ya Shahe Gauhar Meri Imdaad Ko Aavo,

To Pal Me Dubti Kashti Tiraaya Shaah Gauhar Ne.

Haqiro Naatwaa'n, Kam Zarf, Ghaa'nchi Aur Pi'njaaro'n Ko,

Karam Se Apne Mansuri Banaaya Shaah Gauhar Ne.

Abu Bakro Umar Ki Afzaliyat Kar Diya Saabit,

Shia Ustaaz Ko Pal Me Haraaya Shaah Gauhar Ne.

Sahaaba Ke Tariqe Par Jo Hai'n Woh Ahle Sunnat Hai'n,

Yahi Bachpan Se Hi Sab Ko Bataaya Shaah Gauhar Ne.

Shikaste Faash De De Kar Hamesha Raafiziyo'n Ko,

Hume'n Kis Ne Shi'eiyat Se Bachaaya? Shaah Gauhar Ne.

Jo Jab Bhi Saamne Aaya Taqaabul Ka Liye Tevar,

Dalaail Aur Baraahin Se Haraaya Shaah Gauhar Ne.

Jo Maa'nga Jab Bhi Maa'nga "Saiyed Aale Mustafa" Mai'n Ne,

Diya Hai Shaah Gauhar Ne, Dilaaya Shaah Gauhar Ne.

✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI

Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya

(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)

Kalaam Collection

More Related Kalaam

Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection

Paida Jo Agar Shafi-e-Mahshar Nahin Hota
Naat

Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina
Naat

Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai
Manqabat

Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke
Manqabat

Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah