Mehki Mehki Qadriyat Ki Ayan Sehre Me Hai
Other Urdu

Mehki Mehki Qadriyat Ki Ayan Sehre Me Hai

Saiyed Aale Mustafa

Saiyed Aale Mustafa

Qadri Barkati

Lyrics

100%

Mehki Mehki Qadriyat Ki Ayan Sehre Me Hai,

Bheeni Bheeni Mast Hue Boustan Sehre Me Hai.

Naat Goi Ke Hunar Me Kardan Sehre Me Hai,

Yaani Khud Atiq Sahib Naat Khwan Sehre Me Hai.

Ba Adab Aur Ba Naseeb O Ba Tameez O Ba Haya,

Yoon Ganein To Bahot Saari Khoobiyan Sehre Me Hai.

Rafta Rafta Kis Qadar Is Aqd Ki Taqreeb Me,

Noori Masjid Me Jama Ek Karwan Sehre Me Hai.

Khush Naseebi Hai Ke Allama Ziya-ul-Mustafa,

Sadr-e-Mehfil Ban Ke Shamil Khud Yahan Sehre Me Hai.

Is Khushi Ke Khas Mauqe Par Dili Dawat Ke Saath,

"Saiyed Aal-e-Mustafa" Haazir Yahan Sehre Me Hai.

✒️ Aulad E Huzur Gaus E Aazam Sahzada E Huzur Zahire Millat Alambardare Maslake Aala Hazrat Peere Tariqat Hazrat Allama Maulana

SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DADA BAPU QADRI BARKATI

(Jafrabad, Sharif, Gujrat)

مہکی مہکی قادریت کی عیاں سہرے میں ہے،

بھینی بھینی مست ہوئے بوستاں سہرے میں ہے۔

نعت گوئی کے ہنر میں کارداں سہرے میں ہے۔

یعنی خود عتیق صاحب نعت خواں سہرے میں ہے۔

با ادب اور بانصیب و با تمیز و باحیا،

یوں گنیں تو بہت ساری خوبیاں سہرے میں ہے.

رفتہ رفتہ کس قدر اس عقد کی تقریب میں،

نوری مسجد میں جمع اک کارواں سہرے میں ہے۔

خوش نصیبی ہے کہ علامہ ضیاء المصطفی،

صدر محفل بن کے شامل خود یہاں سہرے میں ہے۔

اس خوشی کے خاص موقعے پر دلی دعوت کے ساتھ،

"سید آل مصطفے" حاضر یہاں سہرے میں ہے۔

✒️ اولاد حضور غوث اعظم شہزادہ حضور ظہیر ملت علمبردار مسلک اعلیٰ حضرت پیر طریقت حضرت علامہ مولانا

سید محمد آل مصطفیٰ دادا باپو قادری برکاتی

(جعفرآباد، شریف، گجرات)

More Naats