
Lyrics
Qur'aane Paak Ka Aamil Zahire Millat Hai,
Nabi Ke Din Ka Haamil Zahire Millat Hai.
Kharid Kar Mujhe Anmol Kar Diya Jis Ne,
Woh Mera Murshide Kaamil Zahire Millat Hai.
Wahaabiyo'n Ka Hame'n Tir Lag Nahi'n Sakta,
Hamaare Bich Me Haail Zahire Millat Hai.
Wahaabiyo'n Ke Turram Khaan Pal Me Bhaag Uthe,
Tumhaare Sun Ke Dalaail Zahire Millat Hai.
Pareshaa'n Haal Tere Dar Pe Aa Ke Bol Uthe,
Ab Nahi'n Koi Bhi Mushkil Zahire Millat Hai.
Tumhaare Faiz Se Hi "Aale Mustafa Saiyed",
Mujhe Yeh Fikr Jo Haasil Zahire Millat Hai.
✒️ Awulaade Huzur Gause A'azam Shazaadah E Huzur Zahire Millat Alam Bardaare Maslake A'ala Hazrat Pire Tariqat Hazrat Allaama Wa Maulaana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DAADA BAAPU QUADIRI BARKAATI
Qadim Markaze Ahle Sunnat Khanquahe Aaliya Quadiriyyah Razzaaqiyyah Shaah Rizqullaah, Shaah Gauhar Piya
(Jafarabad,Sharif,Kathhiyawad, Gujrat,India)
More Related Kalaam
Explore more Naat Sharif, Hamd and Manqabat from this blessed collection
Paida jo agar Shafi-e-Mahshar nahin hota, Rahmat bhara aalam ka ye manzar nahin hota. Jis dil mein ho aaqa ki muhabbat ka basera,
Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina, Dikha De Dare Mustafa Ba Qarina. Ilaahi Pahuncha De Mujh Ko Madina.
Rab Ki Rahmat Idhar Kodinar Me Hai, Mustafa Ki Nazar Kodinar Me Hai. Aale Khairul Bashar Kodinar Me Hai,
Gause A'azam Ne Tujhe Gause Zamaana Kar Ke Hind Me Bheja Ye Ahsaan Hai Rizqullaah Shaah Gausiyat Waali Teri Shaan Hai Rizqullaah Shaah
