Lyrics
Hai Kitna Aala Tumhara Rutba Imam e Aazam Abu Hanifa,
Ke Taba'i Ka Sharaf Hai Paaya Imam e Aazam Abu Hanifa.
Abu Hanifa Hai Kunniyat Aur Hai Naam Noman Ibne Sabit,
Imam e Aazam Laqab Hai Paaya Imam e Aazam Abu Hanifa.
Ba Chashme Khud Aapne Hai Chhabbis Dostane Nabi Ko Dekha,
Buland Tar Aapka Hai Darja Imam e Aazam Abu Hanifa.
Khuda Ka Hai Deen Laaye Aaqa Sahaba Phelaye Hain Isi Ko,
Tu Sab Se Pehle Likhne Wala Imam e Aazam Abu Hanifa.
Kisi Ne 61 Kisi Ne 67 Kisi Ne 70 Kisi Ne 80,
Teri Wiladat Ko Hai Bataya Imam e Aazam Abu Hanifa.
Dua e Moula Ali Ki Maqbuliyat Ye Dekhe Hai Rang Laayi,
Zamane Bhar Me Jo Aaj Chamka Imam e Aazam Abu Hanifa.
Nasab Me Hain Aath Ambiya Aur Nasab Me Hi 16 Badshah Hain,
Mijaz Phir Bhi Hai Mukhlisana Imam e Aazam Abu Hanifa.
Bade Bade Auliya Hain Guzre Hain Jinme Aksar Tere Muqallid,
Tu Sab Ka Rahbar Tu Sab Ka Aaqa Imam e Aazam Abu Hanifa.
Ba Fazle Rab Zindagi Me 55 Imam Ne Hajj Ada Kiye Hain,
Khuda Ki Yu Maarifat Ko Paaya Imam e Aazam Abu Hanifa.
Khuda e Bartar Ne Aap Ko Hai Bulandiya Is Qadar Ata Ki,
Nahi Tere Paaye Ka Hai Paaya Imam e Aazam Abu Hanifa.
Ata Ho Ilme Fiqh Se Qatra Huzur Is Aale Mustafa Ko,
Ke Aap Saqi Hain Me Hu Piyasa Imam e Aazam Abu Hanifa.
✒️ Aulad E Huzur Gaus E Aazam Sahzada E Huzur Zahire Millat Alambardare Maslake Aala Hazrat Peere Tariqat Hazrat Allama Maulana
SAIYED MUHAMMAD AALE MUSTAFA DADA BAPU QADRI BARKATI
(Jafrabad, Sharif, Gujrat)
